Lybrate Logo
Get the App
For Doctors
Login/Sign-up
Last Updated: Jan 10, 2023
BookMark
Report

Cancer And Homeopathy Treatment

Profile Image
Ashwini Homoeopathy0Homeopathy Doctor
lybrate_youtube

Hi,

I am Dr. Abhay Patil. Mai consulting homeopath hu. Mai aaj cancer ke bare mein kuch baat karna chahta hun, cancer and role of homeopathy in cancer. Ye kaha jata hai ki homeopathy khali chote bimariyon ke liye hai dawai, koi bhi badi bimari ko theek nahi kar sakte hai, khali sardi hai, khasi hai, skin problems hai, nahi to vaat ki takleef hai uske liye homeopathy ke pass aate hai. Ye ek misconception hai. Homeopathy koi bhi serious bimari ko theek kar sakti hai ya control kar sakti hai. Abhi cancer mein ek fact kaha jata hai ki chemotherapy ke alawa hamare pass dusra alternative nahi hai. Well chemotherapies aur radiotherapy definitely kaam karti hai cancer cases mein, main ye nahi bolra hu kaam nahi karti hai lekin vo bhi ek selective cases rehte hai.

Aise nahi ki har ek case mein wo kaam karti hai jaise koi end stage disease hai ya to koi diseases hai jaise spindle cell sarcoma jaise bone cancers jo rehte hai jisme chemotherapy ka role kam hai. Ye cases mein alternative therapies definitely work karti hai jaise even bone cancers hai, blood cancers hai, breast cancers hai isme homeopathy ka role bohot achi tarah se jana gaya hai, likha gaya hai, experiment kiya gaya hai patients pe aur result dekhe gaye. Abhi bolenge ki homeopathy kaam kaise karti hai. Well jaise agar hum log bole ki allopathic medicines hai jo keeddo ko marti hai, cancer ke keeddo ko jaise cells hai jo cancer ke, jo kharab cells hai usko marti hai, uske sath jo ache cells rehte hai shareer ke usko bhi marti hai, to ye dekha gaya hai ki cancer treatment ke bad specifically chemotherapy ke bad body ki resistance bohot kam ho jati hai matlab aapki immunity bohot kam ho jati hai. Aapke shareer mein se takat kam ho jati hai, aapke shareer ki andar jo doctor rehta hai who fight against the disease, jo bimari ke against kam karti hai uski shamta kam hojati hai.

Idhar homeopathy ek vast role play karta hai. Homeopathic medicine directly a person's ki immunity pe kaam karti hai, uski resistance pe kaam karti hai, uske internal doctor pe kaam karti hai. Vo us strength jo shareer ki fighting capacity ki hai, usko kam hone nahi deti so that after chemotherapy aur even with chemotherapy aap vo bimari ko fight kar sakte hai achi tarah se. Aapki resistance power kam nahi hoti nahi to ek bar ho gaya bimari chali gayi because aapki resistance power kam hai, aap aapke shareer mein takat nahi hai to bimari aane ke chances bohot vapas aane ke bohot high rehte hai jisko hum log relapse kehte hai. Homeopathy ek hi science hai jo relapse ko hum log prevent kar sakte hai. To ek study kiya tha hum log ne hamari ek OPD thi Assam Bhavan mein jo charitable OPD thi, udhar hum log ne dekha hai ki ek patient jo homeopathy and chemotherapy lete hai aur ek jo patients hai jo homeopathy jo khali chemotherapy lete hai; jo homeopathy and chemotherapy lete hai unke results nearly 70-80% better hai than jo log khali chemotherapy lete hai.

Jo chemotherapy ke side effects rehte hai, chemotherapy ki vajah se jo bukhar aata hai, blood kam hota hai shareer mein vo cheeze hum log avoid kar sakte hai homeopathic medicine se. Mai aise nahi bol raha ki har ek banda theek hoga, ki har ek bande mein vo result milega lekin majority 70-80% patients mein hum log patient relief de sakte hai, itna to mai challenge ke sath bol sakta hu, ye 5 saal ke treatment mein 5 saal mein hum log ne jo cases dekhe hai uske upar. To yahi cheez hai ki mai ye hi request karunga patients ko ki khali allopathy the end nahi hai cancer mein, aap alternative medicines bhi try kar sakte hai jaise homeopathy hai, ayurveda hai to simultaneously yes vo le sakte hai aap chemotherapy ke sath and aap khud uske benefits dekh sakte hai. Aap humko lybrate.com pe bhi reach kar sakte hai ya contact kar sakte hai hamare clinic numbers pe.

Thank you.

In case you have a concern or query you can always consult a specialist & get answers to your questions!

RELATED SPECIALITIES

chat_icon

Ask a free question

Get FREE multiple opinions from Doctors

posted anonymously
doctor

Book appointment with top doctors for Overeating treatment

View fees, clinc timings and reviews
doctor

Treatment Enquiry

Get treatment cost, find best hospital/clinics and know other details